You are currently viewing Alhumdulil lahil lazee bi ni’matihi tatimmus saalihaat Alhumdulil lahi ala kulli haal

Alhumdulil lahil lazee bi ni’matihi tatimmus saalihaat Alhumdulil lahi ala kulli haal

Spread the love

Alhumdulil lahil lazee bi ni’matihi tatimmus saalihaat Alhumdulil lahi ala kulli haal

Hadith in English

Hazrat Ayesha (may Allah be

pleased with her) narrated that

the Prophet (PBUH) used

to say when he liked something. 

Supplication

Alhumdulil lahil lazee

bi ni’matihi

tatimmus saalihaat. 

Translation

All praise is due to

Allah Almighty

by whose grace

all good deeds

are accomplished

***********************

Jab Pasandeedah cheez ko dekho tho ye Dua padho

Hadith in Roman Urdu

Hazrath Aiesha (RA) riwayat kartin

hain ke Rasoolullah (SAW) jab kisi

pasandeedah cheez ko dekhte tho

ye Dua padhte

Dua

Recite the above-mentioned Dua 

Tarjumah

Tamaam tareefein Allah ke liye

hain jin ke fazal se tamaam neak

kaam anjaam paate hain.

***********************

TO WATCH THE VIDEO PLZ CLICK ON THE BELOW LINK

https://www.youtube.com/watch?v=xNIAkH_hsog

***********************

Recite this supplication whenever you saw something unpleasant

Hadith in English

Hazrat Ayesha (may Allah be

pleased with her) narrated that

the Prophet (PBUH)When he saw

something unpleasant, he would say

 

Supplication

Alhumdulil laahi ‘ala kulli haal

 

Translation

All praise is due to Allah

in all circumstances

***********************

Jab Na Gawaar cheez ko dekho tho ye Dua padho

Hadith in Roman Urdu

Rasoolullah (SAW) jab kisi na

gawaar cheez ko dekhte tho

ye Dua padhte

 

Dua

Recite the above-mentioned Dua 

 

Tarjumah

Tamaam taareefein har haal

mein Allah ke liye hain

***********************

In The Qur’an: Allah has clearly stated His greatness, power, and might

Hadith in English

Allah says:
Remember the favor of Allah
Almighty which He has bestowed
upon you. There is no creator
other than Allah Almighty who
can provide you with sustenance
from the heavens and the earth,
there is no true god but He.
Then where are you going except
Allah Almighty? (Fatir)

Allah says:
“He is the Originator of the heavens
and the earth without any pattern.
And He knows everything.

Allah says :
You deliver semen into the wombs
of women, Do you make a man out
of it or are we the makers?

Allah says :
“Well then, tell me, did you send
down the water which you drink
from the clouds, or are we going
to send it down? Why do you did
not give thanks? Then tell me about
the fire which you kindle, its special
tree (and also the sources by which
this fire is created, almighty created
or you created it.)

Allah says :
Verily, Allah is the All-Knower,
the All-Knower.They bring forth
the living from the dead, and
they bring forth the dead from
the living.
It is Allah who has such power,
then where are you going to go other
than Allah Almighty?
It is Allah Who brings forth the
morning from the night and He has
made the night for rest, and He
has made the speed of the sun and
the moon be accounted for, and their
speed has been determined by a being
who has great power and great
knowledge. And He has made the stars
for your benefit, so that through them,

you may know the way to the land
and the sea in the darkness of night.
And We have certainly made the
communications clear for people
who knows the difference between
right and wrong.

And Allah is the One Who created
you from a single human being,
then your abode is the earth for a
while then you are handed over to
the grave. Indeed, we have made
the arguments are clear for those
who understand. And it is Allah
Who sends down water from the
sky and brings forth with it various
kinds of plants from the earth.
Then We brought forth from it a
green field, then from this field,
We bring forth such grains as are
under the barley, and from the
branches of the palm we bring
forth such clusters that are bent
under the weight of the fruit, and
then from the same water.
The vineyards and the olive and
pomegranate trees, which are
similar in color and taste.

********************************

Qur’an mein : Allah ne apni taaqat, khudrat aur azmath ko waazeh taur par bayan kiya hai

Hadith in Roman Urdu

Allah taala ka irshad hai :
Acha yeh to batao ke jo mani tum
aurton ke reham mein pohanchate
ho, kya tum is se insaan banatay
ho ya hum bananay walay hain.
( Surah Waaqiah )

Allah taala ka irshad hai :
Acha phir ye tho batao, ke zameen
mein jo beej tum daaltay ho is ko
tum ugatay ho, ya hum is ke ugane
walay hain. ( Surah Waaqiah )

Allah taala ka irshad hai :
Acha phir yeh to batao ke jo paani
tum peetay ho is ko baadalon se tum
ne barsaya, ya hum is ke barsane
walay hain agar hum chahain tho
is paani ko kadva kar dein. tum
kyun shukar nahi karte.
Acha phir yeh tho batao ke jis
aag ko tum sulgate ho, is ke
khaas darakht ko (aur isi tarah
jin zaraye se yeh aag paida
hoti hai un ko tum ne paida kiya
ya hum is ke paida kar ne walay
hain. (Surah Waaqiah)

Allah taala ka irshad hai :
Beshak Allah taala beejh aur ghuthli 
ko phaadne walay hain. wohi jaandaar 
ko be jaan se nikaltay hain aur wohi 
be jaan ko jaandaar se nikaltay hain. 
wohi tho Allah hain jin ki aisi qudrat 
hai, phir tum Allah taala ko chode kar 
kahan is ke ghair ki taraf
chalay jarahay ho?

wohi Allah subah ko raat se nikaalne walay
hain aur is ne raat ko aaraam ke liye banaya
aur is ne Sooraj aur chaand ki raftaar ko
hisaab se rakha, aur unki raftaar ka hisaab
aisi zaat ki taraf se muqarrar hai jo badi
qudrat aur baday ilm walay hain. aur uss
ne tumhare faiday ke liye setaaray banaye
hain taa ke tum un ke zariye se raat ke
andheron mein khushki aur darya mein raasta
maloom kar sako. aur hum ne yeh nishaniyan
khoob khol khol kar bayan kar den un logon
ke liye jo bhalay aur buray ki samajh rakhtay hain.
aur Allah taala wohi hain jinhon ne tum ko
asal ke aitbaar se aik hi insaan se paida kiya
phir kuch arsa ke liye tumhara thikana zameen
hai phir tumhe qabar ke hawalay kar diya jata
hai. beshak hum ne yeh dalail bhi khol kar
bayan kar diye un logon ke liye jo
soojh boojh rakhtay hain.

aur wohi Allah taala hain jinhon ne aasman
se paani utaara aur ek hi paani se mukhtalif
qisam ke nabataat ko zameen se nikala. phir
hum ne is se sabz kheti nikaali, phir is kheti
se hum aisay danay nikaltay hain jo  upar
taley hotay hain aur khajoor ki shaakhon
mein se aisay guchche nikaltay hain jo phal
ke boojh ki wajah se jhuke hue hotay hain
aur phir isi ek paani se angoor ke baagh aur
Zaitoon aur anar ke darakht paida kiye jin ke
fhal, rang soorat, zaika mein ek doosray
se miltay jhultay bhi hain.

********************************

 


Spread the love

Leave a Reply