Choose for your Muslim brother what you like for yourself
JO CHEEZ APNE LIYE PASAND KARE WAHI DOOSRON KE LIYE BHI
Hadith in English
1) It is narrated by the authority of Anas (RA) that the Muhammed (SAW) said: None of you can be a (perfect) believer unless he chooses for his Muslim brother what he likes for himself.
2) Hzrat Khalid ibne Abdul Qasr (RA) heard from his father and he narrates from his grandfather that the Muhammed (SAW) asked him do you like paradise, but do you like to go to paradise? I said yes, he said choose for your Muslim brother what you like for yourself.
************************
Hadith in Roman Urdu
1) Hzrat Anas (Raziyallahu Anhu) riwayat karte hain ke Rasoolullah (SAW) ne irshaad farmaya tum me se koi shaks iswaqt tak kaamil eimaan wala nahi ho sakta jab tak ke apne musalmaan bhai ke liye wahi pasand na kare jo apne liye pasand kare.
2) Hzrat Khalid bin Abdul Qasr (RA) apne waalid se aur woh apne dada se naqal karte hai ke unse Rasoolullah (SAW) ne daryafat farmaya kya tum ko jannat pasand hai lekin kya tum jannat mein jana pasand karte ho? mein ne arz kiya jee haan! irshaad farmaya apne bhai ke liye wohi pasand karo jo apne liye pasand karte ho.
************************
A Muslim has six rights over another Muslim
Hadith in English
Hazrat Ali (RA) narrates that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: A Muslim has six rights over another Muslim:
1) When you meet, (salaam) greet him.
2) When he invites, accept his invitation.
3) When he sneezes, he says: Alhumdulillah In reply say yarhamu kallah
4) When he is sick, visit him.
5) When he dies, go to his funeral
6) Choose for your Muslim brother what you likes for yourself. (Ibn Maaja)
************************
Ek Musalman ke doosre musalman par 6 huqooq hain
Hazrat Ali (RA) riwayat karte Hain ke Rasoolullah (SAW) ne Irshad farmaya :
Eik musalman ke doosray musalman par chay (6) huqooq hain :
1) Jab mulaqaat ho tho is ko salam karein,
2) Jab dawat de tho is ki dawat qubool karein,
3) Jab usay chheenk aaye aur Alhamdulillah kahe tho is ke jawab mein yarhamu kallah kahein,
4) Jab beamaar ho tho is ki ayadat karein,
5) Jab inteqaal kar jaaye tho is ke janazay ke sath jaaye
6) Is ke liye wohi pasand karein jo apne liye pasand karte hain.
************************
Hadith in Roman Urdu
PEHLA SHAKS
gaya hoga. Allah ta’ala ke samnay laya jaye ga, Allah ta’ala apni isNe’mat ka izhaar farmaenge jo is par ki gayi thi woh is ka iqraar kare ga.phir Allah ta’ala farmaenge:tune is Ne’mat se kya kaam liya? woh arz karega: mein ne aap ki Raza ke liye jung ki yahan tak ke shaheed kar diya gaya.
DOOSRA SHAKS
Doosra shakhs hoga jis ne ilm deen seekha aur doosron ko sikhaya aur quran shareef padha. is ko Allah ta’ala ke samnay laya jaye ga, Allah ta’ala is par apni di hui ne’maton ka izhaar farmaenge aur woh un ka iqraar kere ga. phir Allah ta’ala farmaenge: tune un ne’maton se kiya kaam liya? woh arz kerega: mein ne teri Raza ke liye ilm seekha aur doosron ko sikhaya aur teri hi Raza ke liye quran shareef padha.
Allah ta’ala farmaenge: Jhoot boltaa hai, tune ilm deen is liye seekha tha ke log aalim kahen aur quran is liye padha tha ke log qaari kahen chunancha kaha ja chukka phir is ko hukum diya jaaye ga aur usay mun ke bal ghaseet kar jahannum mein phenk diya jaaye ga.
TEESRA SHAKS
Teesra shakhs woh maldaar hoga jis ko Allah ta’ala ne duniya mein bhar poor doulat di hogi aur har qisam ka maal ataa farmaya hoga – is ko Allah ta’ala ke samnay laya jaye ga, Allah ta’ala is ko apni ne’matain batlaein ge aur woh un ka iqraar kare ga, phir Allah ta’ala farmaenge: tune un ne’maton se kya kaam liya? woh arz kare ga: jin raastoon mein kharch karna tujhe pasand hai mein ne tera diya huwa maal teri Raza ke liye kharch kiya tha.
Allah ta’ala farmaenge: jhoot boltaa hai, tune maal is liye kharch kiya tha ke log sakhi kahen chunanche kaha ja chuka, phir is ko hukum diya jaaye ga aur usay mun ke bal ghaseet kar jahannum mein phenk diya jaye ga.
*********************
Namaz-E-Janaza Ki Dua
Pingback: Allāhumma Anta khalaqtanī wa Anta tahdeenī - Islamictutorial