You are currently viewing Shab e Barat Ki Fazilat

Shab e Barat Ki Fazilat

Spread the love

Shab e Barat Ki Fazilat

Sha’ban – The virtue and benefits of the fifteenth night

Hadith in English

The Messenger of Allah (PBUH) said: O Ayesha, do you know what happens this night? The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said:

It will write on this night who will be going to be born this year and who will be going to die this year.

Angel who is assigned to these tasks is informed.

How much sustenance will be given is all written down

On this fifteenth night, Allah Almighty visits the heavens of the world and says:

Is there any servant who asks forgiveness and I will forgive him?

Is there anyone who asks for sustenance, I will give him sustenance.

*********************

Going to the cemetery

Ummul Mu’mineen Hazrat Ayesha Siddiqah (RA) says:

One night, in my bed, I did not find the Holy Prophet (PBUH)

When I went in search of the Prophet (SAW), I saw he is in Jannatul-Baqee,

The Prophet (SAW) raised his head towards the sky. Seeing me, he said:

“Allah Almighty appears in the sky in the middle of Sha’ban and forgives more people than the hair of the goats.

Important Note: Mufti Taqi Usmani Saheb’s (D.B) father Hazrat Muhammad Shafi Saheb (R.A) said:

In shab-e-barat night : Hazrat Muhammad (SAW) went to Jannat-ul-Baqi once in his lifetime.

 *********************

There is no special way of worship on this night?

However, it is true that there is no specific way of worship on this night to be worshiped in such and such way. For example, in Shab-e-Barat some people have said a method of praying in this special way.

For example: in the first rak’at, such and such a surah should be recited so many times. In the second rak’at, such and such a surah should be recited so many times, etc., etc. There is no proof of this.

*********************

TO WATCH THIS VIDEO PLZ CLICK ON THE BELOW LINK 

Shabaan ki pandarvin shab ki fazeelat

 *********************

Hadith in Roman Urdu

Huzoor (SAW) ne irshad farmaya: Ae Aisha (RA) tum jaanti ho is raat mein  kya hota hai arz kiya ji nahi, Ya rasoolullah aap batlaiye is mein kya hota hai ? Aap ne farmaya is raat mein

Aadam (AS) ki aulaad mein se jo shaks is saal paida hoga aur jo is saal mein marey ga is ka marna aur paida hona likha jata hai aur jo farishton ko un kamon par muqarrar hain un ko ittila di jati hai kitna rizq
makhlooq ko is baras mein miley ga sab likha jata hai aur is pandarvin raat Allah duniya ke aasman par
tashreef  laatay hain aur irshad farmatay hain ke

* koi bandah aisa hai jo hum se bakshish mangay tho hum is ko bakhash dein

* koi rizq mangein tho hum is ko rizaq dein

* koi museebat ka maara dua karein mein is ki museebat door karoon.

Isi tarah subah honay tak irshad farmaate hain pas bundon ko chahiye ke is raat mein ibadat karen aur apne gunaaho ki maafi mangein aur pandharvin tareekh ko roza rakhein aur Allah is raat mein apni meharbani se be shumaar bandon ko bakhshta hai magar

1) Sharabi

2) Mushriq

3) Keena rakhnay wala

4) Maa Baap ka naa farmaan

5) Tukhno ke neeche paijama latkaane waala (Takabbur ki wajh se)

6) Rishte Naate todne waala

In logon ko nahi baksha jayega

Qabrastan jaana?

Ummul Mu’mineen hazrat Aisha Siddiqa (RA) irshad farmaati hain ke ”Ek raat mein ne Huzoor (SAW) ko apne bistar par na paaya tho mein huzoor (SAW)  ki talaash mein niklee tho mein ne aap (SAW) ko jannatul baqheeh mein paaya, ke aasman ki taraf huzoor (SAW) ne sar uthaya huwa tha mujhe dekh kar Huzoor (SAW) ne farmaya

”Allah taala nisf shabaan ko
aasmane duniya par tashreef laate hain aur qabeela kalb ki bakriyon ke jis qader baal hain un se ziyada logon ko bakhash dete hain ” ( tirmizi shareef )

Imortant Note: Mufti Taqi Usmani Saheb (D.B) ke waalid saheb Hazrat Mufti Muhammed shafi saheb (R A) farmate hain ke shab e barat ki raat mein – Saari hayaat e tayyaba mein Huzoor (S.A.W) ka ek martaba jannatul baqee jaana marvi hai.

Shab-e-barat mein :
Ibadat ka koi khaas tareeqa muqarrar nahin hai?

Ye baat durust hai ke, is raat mein ibadat ka koi khaas tareeqa muqarrar nahi ke falan tareeqa se ibadat ki jaaye. jaisay baaz logon ne apni taraf se ek tareeqa banaya hua hai jaisa ke shab baraat mein is khaas tareeqay se namaz padhi jati hai maslan Pehli rakaat mein falan surat itni martaba padhi jaaye. Doosri rakaat mein falan surat itni martaba padhi jaaye. waghera waghera.

Is ka koi saboot nahi. yeh bilkul be bunyaad baat hai balkay nafli ibadaat jis qader ho sakay, woh is raat mein anjaam di jaye

  • Nafil namaz padhein,
  • Quran kareem ki tilawat karein,
  • Duaain karein, zikar karein,
  • Tasbeeh padheen yeh saari
    ibaadaten is raat mein ki ja sakti hain. lekin koi khaas tareeqa saabit nahi.

 *********************

Rasoolullah (SAW) used to make this Du’a at the beginning of the month of Rajab

Dua

Allahumma baarik lana  fee Rajaba wa Sha’baan. Wa ballighna Ramadan

Translation

O Allah make the months  of Rajab and Sha’baana blessing for us and let us  reach the holy month of  Ramadan safely

 *********************

Doosron Ko Share Karein – Jazakallahu Khairan Kaseera

Ramadan Ke Roze Ki Ahmiyat Aur Fazilat

Zuban Ki Hifazat – Visit this page 


Spread the love

This Post Has One Comment

Leave a Reply