You are currently viewing Shab e Barat Ki Fazilat

Shab e Barat Ki Fazilat

Spread the love

The virtue of the fifteenth night
of the month of Sha’ban

Hadith in English

The Messenger of Allah (PBUH) said: O Ayesha, do you know what happens in this night?

The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: It will written on this night who will be going to be born this year and who will be going to die this year?

Angel who are assigned to these tasks are informed

How much sustenance will be given is all written down

On this fifteenth night, Allah Almighty visits the heavens of the world and says:

Is there any servant who asks forgiveness and I will forgive him?

Is there anyone who asks for sustenance, I will give him sustenance

 *********************

Going to the cemetery

Ummul Mu’mineen Hazrat Ayesha Siddiqah (RA) says: One night, in my bed, I did not find the Holy Prophet (PBUH) When I went in search of the Prophet (SAW), I saw he is in Jannatul-Baqee,

The Prophet (SAW) raised his head towards the sky. Seeing me, he said:

“Allah Almighty appears in the sky on the middle of Sha’ban and forgives more people than the hair of the goats.

 *********************

No special way of worship?

However, it is true that there is no a specific way of worship on this night to be worshiped in such and such a way.

For example, in Shab-e-Barat some people have devised a method of praying in this special way.

For example: In the first rak’ah, such and such a surah should be recited so many times.

In the second rak’at, such and such a surah should be recited so many times, etc., etc. There is no proof of this.

 *********************

Shabaan ki pandarvin shab ki fazeelat

TO WATCH THE VIDEO PLZ CLICK ON THE BELOW LINK 

https://www.youtube.com/watch?v=e_Y9K1nYKSw

 *********************

Hadith in Roman Urdu

Huzoor (SAW) ne irshad farmaya: Ae Aisha (RA) tum jaanti ho is raat mein  kya hota hai arz kiya ji nahi, Ya rasoolullah aap batlaiye is mein kya hota hai ? Aap ne farmaya is raat mein

Aadam (AS) ki aulaad mein se jo shaks is saal paida hoga aur jo is saal mein marey ga is ka marna aur paida hona likha jata hai aur jo farishton ko un kamon par muqarrar hain un ko ittila di jati hai aur itna rizaq makhlooq ko is baras mein miley ga sab likha jata hai aur is pandarvin raat Allah duniya ke aasman par tashreef  laatay hain aur irshad farmatay hain ke

* koi bandah aisa hai jo hum se bakshish mangay tho hum is ko bakhash dein

* koi rizq mangein tho hum is ko rizaq dein

* koi museebat ka maara dua karein mein is ki museebat door karoon.

Isi tarah subah honay tak irshad farmaate hain pas bundon ko chahiye ke is raat mein ibadat karen aur apne gunaaho ki maafi mangein aur pandharvin tareekh ko roza rakhein aur Allah is raat mein apni meharbani se be shumaar bandon ko bakhshta hai magar

1) Sharabi

2) Mushriq

3) Keena rakhnay wala

4) Maa Baap ka naa farmaan

5) Takabbur karne wala

6) Rishte Naate todne waala

In logon ko nahi baksha jayega

Qabrastan jaana?

Ummul Mu’mineen hazrat Aisha Siddiqa (RA) irshad farmaati hain ke ”Ek raat mein ne Huzoor (SAW) ko apne bistar par na paaya tho mein huzoor (SAW)  ki talaash mein niklee tho mein ne aap (SAW) ko jannatul baqheeh mein paaya, ke aasman ki taraf huzoor (SAW) ne sar uthaya huwa tha mujhe dekh kar Huzoor (SAW) ne farmaya

”Allah taala nisf shabaan ko
aasmane duniya par tashreef laate hain aur qabeela kalb ki bakriyon ke jis qader baal hain un se ziyada logon ko bakhash dete hain ” ( tirmizi shareef )

Shab-e-barat mein :
Ibadat ka koi khaas tareeqa muqarrar nahin hai?

Albattah yeh baat durust hai ke is raat mein ibadat ka koi khaas tareeqa muqarrar nahi ke falan tareeqa se ibadat ki jaaye. jaisay baaz logon ne apni taraf se ek tareeqa banaya hua hai jaisa ke shab baraat mein is khaas tareeqay se namaz padhi jati hai maslan

Pehli rakaat mein falan surat itni martaba padhi jaaye.

Doosri rakaat mein falan surat itni martaba padhi jaaye. waghera waghera.

Is ka koi saboot nahi. yeh bilkul be bunyaad baat hai balkay nafli ibadaat jis qader ho sakay, woh is raat mein anjaam di jaye

Nafli namaz padhein, quran kareem ki tilawat karein, duaain karein, zikar karein, tasbeeh padheen yeh saari ibaadaten is raat mein ki ja sakti hain. lekin koi khaas tareeqa saabit nahi.

 *********************

Rasoolullah (SAW) used to make this Du’a at the beginning of the month of Rajab

Dua

Allahumma baarik lana  fee Rajaba wa Sha’baan. Wa ballighna Ramadan

Translation

O Allah make the months of Rajab and Sha’baana blessing for us and let us reach the holy month of Ramadan safely

 *********************

Zuban Ki Hifazat – Visit this page 


Spread the love

This Post Has One Comment

Leave a Reply