You are currently viewing Takabbur kise kehte hain?

Takabbur kise kehte hain?

Spread the love

Takabbur kise kehte hain?

Takabbur Kya Hai?

Takabbur ek mohlik(Badi) bemari hai. Yeh insaan ki baatini bimarion mein se sab se mohlik(Badi) bemari hai, is liye ke Nabi ‘Alaihis Salaam ne wazahat wa saraahat ke sath farma diya.

   لَا يَدْخُلُ الْجَنَّةَ مَنْ كَانَ فِي قَلْبِهِ مِثْقَا ذَرَّةٌ مِنْ كِبْر
Jannat mein woh shakhs daakhil nahi ho sakta, jis ke dil mein zarre ke barabar bhi takabbur hoga.

Takabbur ka matlab?

Takabbur ka matlab hota hai badayi. Jab koi bandah apne aap ko doosron se bada ya afzal samjhay tho kehte hain ke is ke andar takabbur hai.

Takabbur ki do alamtain hain:

Hamaray buzurgon ne is ki tafseel yun ki hai ke. “Haq baat ka inkaar karna aur logon ko haqeer samajhna”. yeh nafs ke andar ki museebat hai.

Pehli nafarmani ki wajah Takabbur hai:

Allah Rabbul izzat ki sab se pehli nafarmani takabbur ki wajah se hui. Parvar – digaar aalam ne hukum farmaya farishton ko ke sajdah karo, sab sajday mein gir pade, iblees se poocha ke tujhe kya hua tu ne sajda kyun nahi kiya. Kehnay laga mein is se ziyada behtar hoon, tho sab se pehli nafarmani “mein” ki wajah se hui. yeh “mein” badi buri bemari hai, shaitan apni daleelen paish karne laga, mujhe aag se paida kiya gaya aur usay matti se paida kiya aur yeh bhool gaya ke mein kis ki baargaah mein khada hoon.

Allah ne farmaya nikal ja yahan se tu mardood hai, Qayamat tak ke liye meri tere oopar lanatein barasti rahengi. Jo koi takabbur karta hai Allah ta’ala usay aisa karte hain ke woh logon mein kuttay aur khinzeer se bhi badter hota hai.

Jo bandah duniya mein takabbur karta hai, Allah ta’ala is ko neechay giratay hain, itna zaleel karte hain, hatta ke woh logon ke nazdeek kuttay aur khinzeer se ziyada badter ho jata hai, Allahu akbar kabeera!

Luqmaan (A.S) Ki Naseehat:

luqmaan ‘Alaihis salaam ne naseehat ki apne bete ko ke beta zameen mein akad kar na chal ke na tho tu zameen ko phaad sakta hai, na tho pahadon ki oonchai ko haasil kar sakta hai.

Mutakabbir qaumon ka anjaam:

Is duniya mein badi badi qaumein aayin, jin ko Allah ne badi taaqat aur quwwat di, maal-o-doulat di, khazanon ke maalik banaye, is taaqat ke nashay mein woh apni auqaat ko bhool gaye. Ek qaum thi “Qaume ‘Aad” mufassireen ne likha hai ke un ke qad saath haath ke barabar thay. Pahadon ko khod kar ghar banatay thay aur kehte thay-kaun hai hum jaisa taaqatwar.

Unko apni taaqat par naz aa gaya, takabbur karne lagey, Allah ta’ala ki nafarmani karne lagey. nateeja kya nikla? Allah rabbul izzat ne un ko Ibrat naak anjaam tak pahunchaya, ek tez hawa chali jo aath din saat raatain chalti rahi, aisi taiz ke momin ke liye tho Farhat bakhash lekin kafir ke liye woh itni shadeed thi ke unke dhad aapas mein takraate aur woh zameen par aa girte aur unko zameen par patak, patak kar maar diya gaya, aglay din unki lashain bhikri hui theen.Jaisay ke khajooron ke tanay zameen par bikhare hotay hain,

Tho jab qaumon ne takabbur kiya tho qaumein mit gayeen. Afraad ne takabbur kiya afraad mit gaye, ”Mein”  karne walon ko Allah ne mitadiya, tho bande ko ”Mein” nahi sajti hai.

Insaan ki Auqaat:

Ahmed bin Qais (R.A) farmatay thay ke socho tho sahi ke pishaab gaahon ke milaap se paida honay wala insaan bhala kya takabbur karta hai insaan apni auqaat ko tho dekhe ke mein hoon kya? Ek naapaak nutfah.

Hazrat Hasan (R.A) farmatay thay ke insaan bhi bhala kya takabbur kare ke yeh din mein kayi martaba tho apne haath se paikhanay ko saaf karta hai, kya abhi bhi is ko apni auqaat ka pata nahin.

Ya Allah hum sab ko har kaam mein takabbur se bachayein
Aameen.

Plz Click on the below link and share with others – Jazakallahu Khairan Kaseera

Taqwa Kise Kehte Hain?

What is Imaan?


Spread the love

Leave a Reply