You are currently viewing What does Almighty Allah say in the Quran

What does Almighty Allah say in the Quran

Spread the love

What does Almighty Allah say in the Quran

  1. Allah Ta’ala said to His Messenger (PBUH): And tell my servants to say what is best (doesn’t hurt anyone’s heart), because Shaitan makes people fight each other because of hurtful words. Shaitan is the open enemy of man.
    (Bani Israel)

  2. Allah Ta’ala said one of the characteristics of the believers is that they are disobedient with idle talk.

  3. Allah the Exalted has described one of the attributes of the believers as follows: They do not engage in idle talk, and if they happen to pass by idle gatherings, they pass by with seriousness and dignity.

  4. Allah Ta’ala says and when they hear something absurd, they turn away from it.

  5. Allah says Muslims! If a wicked person comes to you with news (in which someone complains), then investigate this news carefully, lest you trust his word and cause harm to a nation through ignorance. You should regret your actions.

  6. Allah Ta’ala says: Whoever utters a word from his tongue, there is an angel waiting for him (who
    immediately writes it down).

      ***********************

      Click for the below Article

      Dua for Pay Debts

      Powerful Dua for Pay Debts

    ******************

HADITH IN ENGLISH

  1. On the authority of Hazrat Abdullah bin Umar may Allah be pleased with him,the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, said: Do not talk much except for the remembrance of Allah, because this creates hardness (and indifference) in the heart, and Allah Almighty in people.
    Farthest is the man whose heart is hard. (Tirmidhi)

  2. Hazrat Mugheera bin Shuba (RA) said I heard the Messenger of Allah (PBUH) saying: Allah has disliked three things for you. One is (useless) talking here and there, the other is wasting wealth, and the third is asking more questions. (Bukhari).

        **********************

What does Almighty Allah say in the Quran

 

     ALLAH TA’ALA KYA FARMATA HAI QURAN MEIN?

  1. Allah ta’ala ne – apne Rasool (SAW) se irshad farmaya: aur aap mere bundon se Farmadijiye ke woh aisi baat kaha karein jo behtar ho (is mein kisi ki dil aazari na hoti ho) kyunkay shaitan dil aazaar baat ki wajah se aapas mein lada deta hai waqai shaitan insaan  ka khula dushman hai.(Bani Israel)

  2. Allah ta’ala ne imaan walon ki ek sifat ye irshaad farmai ke woh log bekaar baton se a’araaz karte hain.(Mu’mineen)

  3. Allah ta’ala ne imaan walon ki ek sifat ye bayan farmai hai : aur woh behooda baton mein shaamil nahi hotay aur agar ittifaaqan behooda majlison ke paas se guzarein tho sanjeedgi aur sharafat ke sath guzar jatay hain

  4. Allah ta’ala ka irshaad hai aur jab koi behooda baat suntay hain tho is se mun phair letay hain (qasas)

  5. Allah ta’ala ka irshaad hai Musalmaanon! Agar koi shareer tumhaare paas koi khabar Lekar aaye jis mein kisi ki shikayat ho tho Is khabar ki khoob chaan been kar liya karo Kaheen aisa na ho ke tum iski baat par I’atimaad karke kisi khaum ko naadaani se Koi nuksaan pahunchaado phir tumhe apne Kiye par pachtaana padhe (Hujraat)

  6. Allah ta’ala ka irshaad hai insaan Jo bhi koi lafz zubaan se nikaalta hai tho iske paas ek farishtah intezaar mein tayyar baitha hai jo ise fauran likh leta hai.

        ************************

     HADEES IN ROMAN URDU

  1. Hazrat Abdullah bin Umar (RA) se riwayat hai ke Rasoolullah (SAW) ne irshad farmaya : Allah taa’la ke zikar ke ilawa ziyada baatein nah kiya karo, kyunkay is se dil mein sakhti (aur be hisi) paida hoti hai aur logon mein Allah ta’ala se ziyada door woh aadmi hai jiska dil sakht ho. (Tirmizi)

  2. Hazrat Mugheera bin shoba (RA) farmatay hain ke mein ne Rasoolullah (SAW) ko yeh irshad farmatay hue suna : Allah ta’ala ne tumahray liye teen cheezon ko na pasand farmaya hai.ek (be faida) idhar udhar ki baatein karna,dosray maal ko zaya karna, teesray ziyada sawalaat karna. (Bukhari)Badakhlaaq Ke Kaan Mein Adhan Dena
    You may Like the above link also

         *********************


Spread the love

Leave a Reply