You are currently viewing Emaan ki Alamaat

Emaan ki Alamaat

Spread the love

HADEES IN ROMAN URDU

Emaan ki Alamaat

1.Hazrat Anas (RA) se riwayat hai ke Rasoolullah (S.A.W) ne farmaya ke tum mein se koi shakhs momin nahi ho sakta jab tak is ko apne maa baap, apni aulaad aur sab logon se ziyada meri mohabbat na ho.(bukhari)

2. Hazrat Abu Hurairah (RA) se riwayat hai ke Rasoolullah (S.A.W) ne irshad farmaya ke imaan ki sattar se bhi kuch oopar shaakhen hain. un mein sab se a’ala aur afzal tho Laa Ilaha Illal Laahu ka kehna hai yani tauheed ki shahadat dena hai aur un mein adna darjay ki cheez aziyyat aur takleef denay wali cheezon ka rastay se hatana hai aur haya imaan ki ek ahem shaakh hai. (Bukhari o muslim)

3. Hazrat Abu Umama (RA) se riwayat hai ke ek shakhs ne Rasool (S.A.W) se poochaa ke imaan kya hai aap ne farmaya jab tum ko apne achay amal se musarrat khushi ho aur buray kaam se ranjh ho (Masnad Ahmed)

4. Hazrat Abu Hurairah (RA) se riwayat hai ke Rasoolullah (S.A.W) ne farmaya koi hai aisa shakhs jo un baton par khud amal kare ya kam az kam un logon hi ko bata de jo un par amal karein. Mein bola ya Rasoolullah mein haazir hoon.Aap (S.A.W) ne mera haath pakda aur yeh paanch baatein irshaad  farmaayi.

a) Haraam baton se door rehna – Baday ibadat guzaar bundon mein shumaar ho jao ge.

b) Allah Jo tumhari taqdeer mein likh chuka hai is par raazi rehna – Baday be nayaz bandon mein ho jao ge.

c) Apne padosi se achay sulooq karte rehna – Momin ban jao ge.

d) Jo baat apne liye chahtay ho wohi doosron ke liye pasand karna – Kaamil Musalman ban jao ge.

e) Bohat khehkheh na lagana kyunkay (zor se hansna) yeh dil ko murda bana deta hai.

**************************

Click on the below link

Hazrath Moosa (A.S) Ki Dua

Allah Ki Raza

**************************

HADITH IN ENGLISH

Sign of Faith

1. It is narrated from Hazrat Anas that the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, said that none of you can be a believer unless he loves me more than his parents, his children and all people. (Bukhari and Muslim)

2. It is narrated from Hazrat Abu Huraira that the Messenger of Allah, may God bless him and grant him peace, said that faith has more than seventy branches. Among them, the highest and best would be believing in Allah. That is, to bear witness to monotheism, and the lowest among them is to remove things that cause pain and suffering from the path, and modesty is an important branch of faith.

3. It was narrated from Hazrat Abu Umamah that a person asked the Messenger of Allah (peace be upon him) what is faith. He said, “When you are happy with your good deeds and sad and anxious with your bad deeds (Musnad Ahmad).

4. On the authority of Hazrat Abu Huraira, may Allah be pleased with him, the Messenger of Allah, may God bless him and grant him peace, said, “There is a person who practices these things himself or at least tells them to those who practice them.” I said, Ya Rasoolullah (S.A.W), I am present. Prophet Muhammed (S.A.W) hold my hand and say these five things.

a) He said, “Staying away from forbidden things is one of the great worshippers.

b) Agree, what Allah Almighty has written in your destiny; you will become needlessly

c) Be kind to your neighbor and you will become a believer.

d) Like for others what you want for yourself. You will become a perfect Muslim.

e) And don’t laugh too loudly because it makes the heart dead.


Spread the love

Leave a Reply