You are currently viewing Maa Baap Ka Adab

Maa Baap Ka Adab

Spread the love

Event in Roman Urdu

Maa Baap Ka Adab

Bani Israel ka ek yateem bacha har kaam apni walida se pooch kar un ki marzi ke mutabiq kiya karta tha. is ne ek khoobsoorat gaayen (Cow)  paali aur har waqt is ki dekh bhaal mein masroof tha. Ek martaba aik farishta insani shakal mein is bachay ke saamnay aaya aur gaayen kharidne ka iradah zahir kiya, bachay ne qeemat poochi tho farishtay ne bohat thodi qeemat batayi. Jab bachay ne maa ko ittila di tho is ne inkaar kar diya, farishta har baar qeemat badata raha aur bacha har baar apni maa se pooch kar jawab deta raha. Jab kayi martaba aisa huwa tho bachay ne mehsoos kiya ke meri walida gaayen bechnay par raazi nahi hain, lehaza is ne farishtay ko saaf inkaar kar diya ke gaayen kisi qeemat par nahi bechi ja sakti. farishtay ne kaha tum baday khush khismat aur khush naseeb ho ke har baat apni walida se pooch kar karte ho anqareeb tumahray paas kuch log is gaayen ko khareed ne keliye ayen ge tho tum is gaayen ki khoob qeemat lagana.

Doosri taraf Bani Israel mein ek aadmi ke qatal ka waqea paish aaya aur inhen jis gaayen ki qurbani ka hukum mila tha ye wahi gaayen hai jo bachay ke paas thi. chunancha Bani Israel ke log jab is bachay se gaayen kharidne ke liye aaye tho is bachay ne kaha ke is gaayen ki qeemat is ke wazan ke barabar sona ada karne ke barabar hai. Bani asryil ke logon ne itni bhaari qeemat ada kar ke gaayen khareed li. Tafseer azeezi aur Tafseer Mualim al irfan mein likha hai ke is bachay ko yeh doulat walidain ke adab aur un ki itaa’at ki wajah se mili. Tafseer tibri mein bhi isi terhan ka waqea manqool hai. is se maloom huwa ke walidain ki khidmat kuch sila is duniya mein bhi dediya jata hai.

*******************

Click on the below link

Zubaan Ki Hifazat

Islam Mein Adab Ki Ahmiyat

*******************

Event in English

An orphan child of Bani Israel used to ask his mother for everything and do it according to her wishes. He reared a beautiful cow and was always busy looking after it. Once an angel appeared to the child in human form and expressed his intention to buy a cow. When the child asked the price, the angel told a very small price. When the child informed the mother, she refused. The angel kept increasing the price each time and the child kept asking his mother and answering each time. When this happened several times, the child realized that my mother was not willing to sell the cow. So he flatly denied the angel that the cow cannot be sold at any price. The angel said that you are very lucky and lucky that you do everything by asking your mother. Soon some people will come to you to buy this cow, so you should give a good price for this cow.

On the other hand, there was a murder of a man among the Israelites and the cow they were ordered to sacrifice the cow of the child. So when the people of Bani Israel came to buy a cow from this child, the child said that the price of this cow is equal to paying gold equal to its weight. The people of Bani Israel bought the cow after paying such a huge price. It is written in Tafsir Azizi and Tafsir Ma’alim al-Irfan fi Duros al-Qur’an that this child got this wealth because of his parents’ politeness and obedience to them. A similar incident has been narrated in Tafsir al-Tabari. From this, it is known that some reward for serving parents is also given in this world.

*******************


Spread the love

Leave a Reply