You are currently viewing Hazrat Jibraeel(A.S)Ki 3 BadDua par Rasoolullah(SAW) ki “Aameen”

Hazrat Jibraeel(A.S)Ki 3 BadDua par Rasoolullah(SAW) ki “Aameen”

Hazrat Jibraeel(A.S)Ki 3 BadDua par Rasoolullah(SAW) ki “Aameen”

Hadith in English

Ka’ab ibn Ujrah (may Allah be pleased with him) said: Once the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: Get close to the pulpit. We were present when the Holy Prophet (saw) stepped on the first level of the pulpit and said: Aameen.

When he stepped on the second, he said: Aameen.

When he stepped on the third, he said: Aameen.

When you came down after the sermon, we said that we heard something from you today (ascending the pulpit which we had never heard before). He said that Jibraeel had come to me at that time 

First Level:

When I stepped on the first level, he said: Perish the one who found the blessed month of Ramadan, yet he was not forgiven. I said: Aameen,

Second Level:

Then when I ascended to the second level, He said: Perish the person before whom the remembrance of me is blessed and he did not send blessings, I said: Aameen.

Third Level:

When I ascended to the third level, He said: Perish the person in front of whom his parents or one of them finds old age and do not let them enter Paradise. I said: Aameen.

Three Curses of Jibraeel (AS):

In this hadith, Hazrat Jibraeel has given three curses and the Holy Prophet (PBUH) has made aameen on all three of them. May Allah, by His grace, grant us the ability to avoid these three things and keep us safe from these evils.

According to some narrations, Jibraeel himself said to the Holy Prophet (SAW): Say Aameen, Then the Holy Prophet (SAW) said: Aameen, which shows even more care.

First – Person Perish:

The first is the person on whom Ramadan has passed and has not been forgiven, that is, the time of goodness and blessings like Ramadan has passed in heedlessness.

In Ramadan, Allah’s mercy is showered like rain, so whoever passes the month of Ramadan in such a way that he is deprived of forgiveness due to his misdeeds and shortcomings, then for his forgiveness and What time is it and what is the doubt about his death? And the case of forgiveness is that the deeds of
Ramadan, that is, fasting and Taraweeh, after performing them very carefully, he should always ask forgiveness for his sins in abundance.

Second – Person Perish:

The other person for whom the perish was done is the one in front of whom the remembrance of the Holy Prophet is blessed and he does not recite the Durood. If the remembrance of Allah is blessed, then it is obligatory for the listeners to recite Durood. What could be more virtuous than that the Almighty sends mercy on the Prophet (PBUH) once and for all?

May Allah reward him with mercy, peace from his anger, deliverance from the abyss of resurrection, and many promises on special quantities of Durood-e-Sharif.

Apart from all these, economy and poverty are removed from Durood there is nearness in the court of Allah and His Messenger, help is given to enemies and the heart is cleansed from hypocrisy and rust, people love it. It is practically obligatory to recite Durood Sharif once in a lifetime.

Third – Person Perish:

The third is the person whose two or one of the elderly parents are present and he does not serve them to such an extent that he deserves paradise.

The rights of parents are also emphasized in many ahaadeeth. It is written in their rights that their obedience is necessary, also it is written that they should not be rude, not behave arrogantly even if they are polytheists, not raise their voice above their voice, their name He should not call on them, He should not take precedence over them in any matter, He should soften the commandment of good and prohibition of change, If they do not accept, then the conduct is a thread and praying for guidance is a thread, so respect them very much in everything.

There is a tradition that the best door to heaven is the Father, whether he protects it or destroys it.

*****************************

TO WATCH THE VIDEO PLZ CLICK ON THE BELOW LINK

https://www.youtube.com/watch?v=94n6v6lyPKU

*****************************

Hadith in Roman Urdu

Ka’ab bin ajrah (RA) kehte hain ke ek martaba nabi kareem (SAW) ne irshad farmaya ke minbar ke qareeb ho jao, hum log haazir ho gaye.

Pehla Darjah:

Jab huzoor (SAW) ne minbar ke pehlay darja par qadam mubarak rakha to farmaya Aameeen.

Doosra Darjah:

Jab doosray par qadam mubarak rakha to phir farmaya Aameeen.

Teesra Darjah:

Jab teesray par qadam mubarak rakha tho phir farmaya Aameeen.

Jab aap khutbe se farigh hokar neechay utre tho hum ne arz kiya ke hum ne aaj aap se minbar par chadhtay hue aisi baat suni jo pehlay kabhi bhi nahi suni thi, aap (SAW) ne  irshad farmaya ke is waqt jibraeel mere samnay aaye thay.

Jab pehlay darja par mein ne qadam rakha to unhon ne kahake hilaak  hojiyo woh shaks jis ne ramadaan ka mubarak maheena paaya phir bhi is ki maghfirat nah hui, mein ne kaha Aameeen.

Phir jab mein dosray darja par chadha to unhon ne kaha hilaak hojiyo woh shakhs, jis ke samnay aap ka zikar mubarak ho aur woh duroood na bheje, mein ne kaha : Aameen.

Jab mein teesray darja par chadha tho unhon ne kaha hilaak ho woh shakhs, jis ke samnay is ke walidain ya un mein se koi ek budhapay ko pavain aur woh un ko jannat mein daakhil na karayen, mein ne kaha : Aameeen.

Is hadees mein hazrat jibraeel ne teen bad duaein di hain aur huzoor (SAW) ne un teeno par Aameen farmaya, awwal tho hazrat jibraeel jaisay  farishtay ki bad dua kya kam thi aur phir huzoor (SAW) ki Aameeen ne tho jitni sakht bad-dua banadi woh zahir hai, Allah hi apne fazl se hum logon ko un teeno cheezon se bachney ki taufeeq ataa farmaye aur un buraiyon se mehfooz rakhen, warna hilakat mein kya shak hai? baaz riwayaat se maloom hota hai ke khud hazrat jibrael ne huzoor (SAW) se kaha ke Aameeen kaho tho huzoor (SAW) ne farmaya :
Aameeen.

Pehle Shaks Par Baddua:

jis se aur bhi ziyada ihtimaam maloom hota hai. awwal woh shakhs ke jis par ramadaan ul mubarak guzar jaye aur is ki bakhshish na ho, yani ramadaan mubarak jaisa khair o barkat ka maheena bhi ghaflat mein guzar jaaye, ramadaan mubarak mein Allah ki rehmat, barish ki tarah barasti hai, pas jis shakhs par ramadaan mubarak ka maheena bhi isi tarah guzar jaaye ke is ki bad a’amalyion aur kotahiyon
ki wajah se woh maghfirat se mahroom rahay, tho is ki maghfirat ke liye aur kaun sa waqt hoga? aur is ki hilakat mein kya shak hai? aur maghfirat ki soorat yeh hai ke ramadaan mubarak ke jo kaam hain, yani roza, taraweeh un ko nihayat ihtimaam se ada kar ne ke baad har waqt kasrat ke sath apne gunaaho se taubah isteghfar karein.

Doosre Shaks Par Baddua:

Doosra shakhs jis ke liye bad-dua ki gayi, woh hai jis ke samnay nabi kareem ka zikar mubarak ho aur woh duroood na padhay.aur bhi bohat si riwayaat mein ye mazmoon warid  huwa hai, is wajah se baaz ulama ke nazdeek jab bhi nabi kareem (SAW) ka zikar mubarak ho, tho sunney walon par duroood shareef ka padhna wajib hai.

Jo nabi kareem (SAW) par ek martaba darood bheje Allah is par das martaba rehmat bhaijtay hain, neez malaika ka is ke liye dua karna, gunaaho ka ma’af hona, darjaat ka buland hona,uhad pahad ke barabar sawab ka milna, Shafa’at ka is ke liye wajib hona waghera waghera, qayamat ke haul se nijaat, bohat se waday duroood shareef ki khaas khaas miqdaron par muqarrar farmaya gaya hai, un sab ke ilawa duroood shareef se maeeshat aur faqhr door hota hai, Allah aur is ke rasool (SAW) ke darbaar mein taqarrub naseeb hota hai, dushmanon par madad naseeb hoti hai aur qalb ki nifaq aur zang se safai hoti hai, logon ko is se mohabbat hoti hai, ek martaba Umar bhar mein duroood shareef ka padhna amalan farz hai.

Teesre Shaks Par Baddua:

Teesray woh shakhs ke jis ke boodhay walidain mein se dono ya ek maujood hon aur woh un ki khidmat na karein ke jis ki wajah se jannat ka mustahiq ho jaaye, walidain ke huqooq ki bhi bohat si ahadees mein takeed aayi hai, ulama neun ke huqooq mein likha hai un ki ita’at zaroori hai, neez ye bhi likha hai ke un ki be adbi na karein, takkabur se paish na aaye agar chay woh mushriq hon, apni aawaz ko un ki aawaz se oonche na karein, un ka naam leker na pukare, amar bilmaroof aur naahi anil munkar mein narmi karein, agar qubool na karein tho sulooq kar ta rahe aur hidaayat ki dua kar ta rahe, gharz har baat mein un ka bohat ehtram karein.

ek riwayat mein aaya hai ke jannat ke darwazon mein se behtareen darwaaza baap hai, tera dil chahay is ki hifazat kar ya is ko zaya karde.

**********************

Ek sahabi ne huzoor (SAW) se daryafat kiya ke walidain ka kya haq hai? Aap (SAW) ne farmaya ke woh teri jannat hain ya jahannum, yani un ki Raza jannat hai aur narazgi jahannum hai.

**********************

Maqbool Hajj Ka Sawab?

Ek hadees mein aaya hai ke betay ki mohabbat aur shafqat se ek nigah waalid ki taraf ek maqbool hajj ka sawab rakhti hai.

Ek hadees mein irshad hai ke shirk ke siwa tamam gunaaho ko jis qader dil chahay Allah maaf farmate hain, magar walidain ki nafarmani ka, marnay se qabal duniya mein bhi pahunchta hai.

**********************

Ek sahabi (RA) ne arz kiya ke mein jehaad mein jane ka iradah karta hoon, Huzoor (SAW) ne daryaft farmaya ke teri maa abhi zindah hai? unhon ne arz kiya ke haan, huzoor (SAW) ne farmaya ke un ki khidmat kar ke un ke qadmon ke neechay tere liye jannat hai.

**********************

Ek hadees mein aaya hai ke Allah ki Raza baap ki Raza mein hai aur Allah ki narazgi baap ki narazgi mein hai aur bhi bohat si riwayaat mein is ka ihtimaam warid huwa hai. Jo log kisi ghaflat se is mein kotahi kar chuke hain aur ab un ke waalidain  maujood nahi hain, Shari’at mein is ki talaafi bhi maujood hai.

**********************

Ek hadees mein irshad hai ke jis ke walidain is haalat mein mar gaye hon ke woh un ki nafarmani karta ho to un ke liye kasrat se dua aur astaghfar karne se Mutee’e shumaar ho ja taa hai.

**********************

Ek doosri hadees mein waarid hai ke behtareen bhalai baap ke baad is ke milnay walon se husn sulooq hai.

**********************

This Post Has One Comment

  1. MD

    Jazakallah-hu-khair

Leave a Reply